mobile ki battery kharab hone se kaise bachaye :
dosto aap sabhi ko to pata hi hoga ki ya yug digital yani smart phone ka jamana hai aur aap to jante hi hai ki jha par achai hoti hai wha par kuch kamiya bhi hoti hai usi tarah in mobile me bhi kuch kamiya hoti rahti hai. jaise battery ka kharab hona jissme ye do problem jyada hoti hai .
1. mobile hang karna
2. battery ka kharab hona

mobile ko hang hone se kaise bachaye iske baare me mai aap logo ko pahle hi bta chuka hu jise aap yha click karke padh sakte hai sakte hai au aaj mobile ki battery ko kharab hone se
kaise bachaye ye batauga lekin iske liye aap ko kuchh sarto ka palan karna hoga jisse aap ki battery damage ya kharab nhi hogi aur aap apne battery ki life aur bhi jyada din tak bada sakte hai mai aapko neeche kuchh tips bata rha hu jise folow karne se aapke mobile ki battery jyada to chalegi hi aur sath hi sath garam aur jald kharab bhi nhi hogi dekhiye smart phone ki battery lige badane ke liye kuchh power full tips and trick
1. phone ke sath mila hua charger ka hi use kare : –
aap ko wahi charger use karna chahiye jo aap ko apna smart phone kharidte samay mila tha other company ya local charger use karne se battery jald kharab hoti hai aur dusre charger se charge ki hui battery jyada time tak nhi rukti yani jald hi discharge ho jati hai
2. Mobile ko minimum charge rakhe : –
Mobile ko ekdam khatam ( discharge ) na hone de smart phone ki battery ko minimum matlab kam se kam 30% charge jarur rakhe
3. low capasity wala mobile na kharide : –
new mobile kharidte samay hamesa dhyan rakhe ki uski battery kam se kam 30 se 40 % tak charge ho lekin kabhi kabhi dukandar se puchhne par wo kahta hai ki battery jyada din se rakhi thi is liye low ho gyi lekin sawdhan yesi batteryo me koi kmi ya kharabi bhi ho sakti hai
4. full discharge na kare : –
aaj kal ke log mobile ko tab tak use karte rahte hai jab tak ki mobile swich off nhi ho jata lekin aap yesa karne se bache kyo ki yesa karne se battery jald kharab ho jati hai is liye jab mobile 20 se 25% tak charge ho tabhi use charge kar le isse battery fulti nhi
5. Mobile ko kisi ke bhi sath baar baar badle nhi : –
aksar yesa dekha gya hai ki ham apne dost ke sath apne mobile ki battery ki adla badli kar lete hai lekin yesa nhi karna chahiye aur new battery bhi same MAH ki leni chahiye
6. jyada garmi se apne mobile ko dur rakhe :-
garmi mobile ki battery ki bahut badi dusman hai isliye apne mobile ko garmi se dur rakhe aur kisi bhi garm jagah par apna mobile na rakhe aur mobile charge ho jane ke baad use turant charger se nikal le nhi to battery heat ho sakti hai
7. mobile ko bahut jyada baar baar charge na kare ;-
aaj kal ke young logo me dekha gya hai ki wo apne mobile ko jab bhi thodi si fursat pate hai waise hi charge me lga dete hai chahe wo sirf 5% hi kyo na kam ho isliye mai aap logo ko persnaly suggest karuga ki aap mobile ko kam se kam 50% discharge hone par hi charge kare.
8. mobile ko paani ( watter) aur nami se dur rakhe :-
barsat ke samay mobile ko sefty ke sath lekar nikle aur ise paani me girne se bachaye rakhe kyo ki paani ghusne se mobile dead bhi ho sakta hai aur jyada nmi wale jagah par mobile na rakhe isse battery kharab ho jati hai
- computer में किसी भी text को voice में कैसे बदले
post summary:
ek baar aur mai short me bata deta hu jisse aap ko janne me help hogi
- mobile ke sath mila hua charger hi use kare
- mobile ko baar baar charge na kare matlab minimum charge karne ki kosis kare
- kam power wala mobile na le
- phone ko pura discharge na kare
- mobile ko adhik hot ya garm jagah par na rakhe
- androide mobile ko watter ( pani ) ya nami se dur rakhe
Final word:
to dosto aap ko ye post kaisi lagi aur yadi aap ko mobile se judi koi bhi jankari chahiye ya aap hamse puchna chahte hai to aap hame comment me bata sakte hai ham aap ki problem ko bahut jald solve karne ki kosis karege yadi aap ko ye post pasand aai ho aur aap ko isse kuch help mili ho to ise apne dosto ke sath share jarur kare jisse unko bhi jankari mile aur wo bhi apne mobile ki life ko aur bhi long kar sake .
Nice post sir
thanks mo…. areeb ji
अपने कमाल कि मोबाईल कि जाणकारी दि है. इसके लिये एक मै आपला बहुत आभारी हू. आपके वेब साईट के लिये मेरी शुभकामनाये है.